Powered By Blogger

♥♥PhIr MiLeNgE♥♥

Friday 14 August 2015

kuch gujare lamho ke bare me soch raha tha
phir soch ki paltun un panno ko
jis kitab ka akhiri chapter abhi baki hai
jab socha un lamho ke bare me to dekha
kuch dost lad rahe hai kuch has rahe hai
aur usi beech ek roshni hai jo
meri ankho me sama si gai hai
aur mujhe yad dila rahi hai aur keh rahi hai
ki kahan hai vo dost jo kabhi apne hantho se ek dusare ko khana khilaya karte the
kahan hai vo dard jo hum ek dusare ke liye bata karte the
kahan hai vo samay jo hum ek sath bitaya karte the
aur kahan hai vo jhagde jo pal bhar me hi simat jaya karte the
jab maine use jawab diya
to andhera sa cha gaya
roshini ne muh mod liya
aur me ghirti tanhaiyon me agaya
kahan maine us roshni se
ki vo hath ab badua mangne ke liye uthte hai
ki vo dard ab hum akele hi sehte hai
ki vo samay ab kate nhi kat ta hai
ki vo jhagde ab samete nhi simat te hai
ki kya thi vo vajah
jo is kadar ho gaye hum juda
ki jin dosto ke nam sunte hi hontho par muskurahat ajati thi
ki vohi nam sunte hi hote hai hum kyu khafa
ki ae dosto milo phir dubara
jo reh gaya hai chapter adhura
use pura karna lakshya hai hamara.........
write by
(Gaurav kashyap)

Sunday 19 August 2012

"Hate love story"

Hi frnds aj me apke liye ek aur nyi story laya hun asha hai ki apko pasand ayegi.
ye story 4 ladkiyon ki hai jo ki bahut achi frnds bhi thi inme se 3 ladkian 12 pass out karke punjab se delhi agayi thi padai ke liye ye tino frnds khusi,riya aur reshma.apne best future ke liye delhi ayin thi in tino ladkiyon ki family middle class family se thi isliye in tino ladkion ne fesla kiya ki ye padai ke sath sath part time job bhi karengi in tino ke sath inki 4 frnd mansi isliye nhi a payi kyunki vo inse 1 sal piche thi aur tino frnds yahi chahti thi ki vo bhi jald hi 12 pass out karke delhi a jaye ye tino frnds apne clg se ane ke bad caffe coffe day me job karti thi vahin pass me IT company thi jiske employ vahan tea time me coffe pine aya karte the unhi employ me se ek tha aaryan jisko khushi bahut pasand karti thi jab bhi vo ata vo bas usse dekhti rehti aur har bar vo hi usse coffe serve karti thi par aaryan is bat se anjan tha ye love story bina bat kiye iktarfa khushi ki taraf se ek sal tak chalti rahi par khushi ki kabhi himmat hi nhi ho pati thi ki vo usse apne dil ki baat kahe. phir un tino frnds ko ye khabar milti hai ki manvi ne bhi ache no. se 12 pass out kar li hai aur vo bhi delhi arahi hai ye baat sunkar 3 frnds bahut kush hoti hai kuch hi dino me manvi vahan ajati hai aur vo 3 frnds usse delhi ghumate hai aur usse bhi caffe coffe day me job ke liye bolte hai manvi man jati hai ur vahan job karne lag jati hai ek din aaryan ki najar manvi par padti hai aur aaryan ke hosh ud jate hai usse lagta hai ki uske
sapno ki rani usse mil gayi hai  vo manvi se bat badata hai aur apni job apni family sab ke bare me usse bata ta hai manvi aaryan se puchti hai ki ye sab tum mujhe kyun bata rahe ho tab aaryan usse prapose karta hai aur kehta ki me tumse bahut pyar karta hun plzz expt my praposal manvi usse waqt mangti hai aur ye bat jakar apni tino frnds ko bata ti hai ye bat sunkar khushi ka dil tut jata hai par khushi apne dil ki tasali ke liye manvi se puch ti hai ki kya tumhe bhi aaryan pasand hai tab manvi bolti hai ki han mujhe vo bahut aacha lagta hai aur me tum se puchna chahti hun ki me kya karun tab riya aur rehma khushi ko andar le jati hai aur kehti hai ki khushi tu sab kuch manvi ko bata kyun nhi deti tab khushi bolti hai ki manvi ka dil tut jayega aur me aesa karna nhi chahti hame uska sath dena chahiye sab frnds ki salah lene ke bad manvi aaryan ko han kar deti hai aur un dono me dating shuru ho jati hai jabhi manvi aaryan se mil ke ati vo sari bat apne frnds ko bata deti par ye batein uski do frnds rehma aur riya ko bilkul pasand nhi ati aur vo dono frnd khushi ko uske khilaf bahadkati aur kehti ki vo hum sab ko chidati hai par khushi is bat ko nhi manti dhire dhire manvi aaryan me kuch jyada hi bzy ho jati hai aur apne frnds ko kam time de pati hai aur phir khushi ko bhi ye lagne lagta hai ki reshma aur riya sahi kehti hai ye sab kuch dekh dekh kar khushi roz hurt hoti aur upar se reshma aur riya usse roz bhadkati ek din khushi mentaly bahut hi jyada disturb thi tabhi manvi vahan agayi aur aaryan ki batein khushi ko batane lagi khushi sunte sunte zor se chikhi aur manvi ko bura bhala bolne lagi aur kehne lagi ki tune mera boyfrnd cheena hai me aaryan se pyar karti thi manvi bhi uspar cil lane lagi tabhi khushi ko itna gussa aya ki pass me rakhi rod ussne manvi ke sir par mar di aur on the spot manvi ki death ho gayi.ye karne ke bad reshma aur riya ka to kuch nhi gaya par manvi aur khushi ne apna sab kuch kho diya.khushi ne surrender kar diya aur ab vo roz apni galti ke liye roti hai aur roz manvi se mafi mangti hai......
doston humhe kabhi gusse me galat kadam nhi uthana chahiye jisse ki humhe bad me pachtana pade....
write by
(Gaurav kashyap)

Tuesday 10 July 2012

"kamdhenu ki yadein"




kuch adhure palon ko samet kar
maine un yadon ko yaad kiya
to maine dekha
vo pyar,vo dosti
jo ab kahin kho gayi hai
na jane kyun khushi ke bad aksar gum a jata hai
haste hua chehre par rona kyun cha jata hai
un sawalon ke jawab aaj me dund raha hun
kya hua tha un betein palon me ye me soch raha hun
kyun vo chut gaye
kyun vo tut gaye
jo kabhi apne the
aj vo phir kyun ruth gaye
aisa bhi kya ruthna hai jo intazar karte ho
un chehro ko yaad banakar har roz muskurate ho
ek bar hanth badhane se kya ho jayega
jisse aaj nazare churate hai 
vo apna ban jayega
mai aksar kaha karta tha ki dur jane ke bad 
hum ek dusare ko pehchan bhi nhi payenge
aksar dusre hi hamari pehchan batenge
vaise to ab hum bas gaye hai dosti ke un kisso me
kya hum phir un palon ko ji payenge......


write by
(Gaurav kashyap)

"KaLm Ki JeEt"




kore kagaj par likhte likhte  unka nam
hum shayri bhi karne lage
socha tha kuch dard banth lenge
par mujhe kya pata tha ki mere ye shabd
dusaro ko pasand aane lagenge
dhire dhire dard to kam hone laga
par shabdo ka sil sila badne laga
apne nam ko me pustak par likha karta tha
par aaj maine apna nam pustak par chapa dekha
ki meri udaan ki vo patang kat
ke us bewafa ke ghar me bhi giri
aachank us befawa ka dil pighla
aur vo meri aur badi
aankhon meri khushi thi
par us dhokhe ka bhi ahsas tha
par mere dil ne uska hanth nhi thama
isliye maine apni kalam ko hi apnaya
kyunki is kalam ki vajah se
bhula hua phir ghar laut kar aaya..
write by
(Gaurav kashyap)

"DiDi"



Badalte hua mausam se kuch sikha
usne to barish ki bundon ko parkha
vatavaran me hulchul si mach jati hai
jab vo khil khila ke hasti hai
komal si ahat uski
sabke dilon me yun utarti hai
jab uski payal ki awaj sabke kano me padti hai
kya karen likhna to bahut kuch chahte hai
par meri kalam unki tarif karne se darti hai..
subha ki thandak chal kati hai uska bholapan
har dub ta suraj deta hai use uljhan
lagta hai madhosh hai uska jeevan
uapar valle ne bheji hai ek esi kalpna
ki humne apne shabdo me tarif to kar di hai
vase to unki tarif me kuch kaha nhi ja sakta
kyunki uski jhalak pate hi
har subha
suraj likhta hai apni kirno ke jariye
unke liye kavita..
shabdon ke jariye unke liye dua mangta hun
ki unke chehre par hassi bani rahe
taki hum unki tarif me kuch na kuch likhte rahe
chahe duniyan me kuch bhi ho
par vo kubsurat chehra
humesha kush rahe muskurata rahe..
write by
(Gaurav kashyap)

"yAdEiN"




kabhi khul ke barish me bhiga karte the
aj vo sab kahan chip gaye
lagta hai vo pal vo khushiyan sab humse ruth gaye
koi kho chuka hai apna lakshaya pane me
koi dub chuka hai naya kal banane me
ae doston un palon ko yaad to karo
jo kahin bas chuke hai ab humare sapno me
bhul gaye vo din
jab subha ka intazar hota tha
ek nayi sharat karne ko dil bekrar hota tha
vo gaba mam ki dant
mithi si to lagti thi
aur humari vo sab subjects ki copy
sirf humare namo se hi to sajti thi
kabhi kisi ko rulana
aur fhir unhi hantho se khana
ye to humari aadat si ban gayi thi
lagta hai vo khushiyan vahin tham gayi thi
par ab bahut thak chuka hun me
jina chahta hun vo pal dubara
ae doston
kya sath milega tumhara....
write by
(Gaurav kashyap)

Friday 16 March 2012

"GaRv Ki RiYa"




ek school jiska naam s.k.v kamdhenu tha ye us 
school ke batch 2010 ki kahani hai ek sachhi 
kahani true "love story" kahani shuru hoti hai 
garv naam ke ladke sath jo ki ek writer tha aur
majakia bhi tha hasna hasana uska kam tha uske kafi
aache frnds bhi the class me jo uska hardam sath dete the
usi class me ek shama naam ki ladki thi jo usse 
pasand karti thi aur uska kafi fayda bhi uthaya
karti thi garv uski help frnd samaj ke har bar kar
diya karta tha par shama ki frnds iska galat matlab
samaj gayi aur ye sochne lagi ki garv shama se pyar 
karta hai par haqikat me esa nhi tha garv ko esi
ladki pasand thi jo bilkul simple ho aur usse tej ho
vo din karib agaya aur garv ko vo ladki mil hi gayi
us ladki ka naam tha riya vo class ki monitor thi
aur class me attendence le rahi thi garv ka roll no. 5 
tha vo bar bar chilla rahi thi roll no. 5 roll no.5 par
garv to apni baton me hi mast tha uske bad riya garv ke 
pass jati hai aur kehti hai sunai nhi deta aur usse 
khub sunati hai ye baat garv ko bahut aachi lagti hai 
aur garv man man me kehta hai ki zindagi me pheli bar koi ladki
bhari padi hai vo din raat usi bare me soch kar kuch na kuch 
likhta rehta aur bas usse hi yaad karta rehta phir dheere dheere
riya aur garv dost ban jate hai aur dono kafi acchi understanding ho
jati hai garv chahta tha ki vo din bhar usse dekhta rahe
isliye usne riya ka tution bhi join kar liya riya ko bhi bahut
khushi hui phir ek din garv riya se bolta hai ki jo tumne
diwali par suit phena tha vo tum kal phen ke aana tum 
usme bahut acchi lagti ho riya agle din vo suit phen kar ati hai 
aur ye dekh kar garv hairan ho jata hai kyunki ussne to majak kiya tha
phir usse yakin ho jata hai ki riya usse apna bahut accha frnd manti hai
isliye usne esa kiya riya kafi emotional type ki ladki ki jo bas apne me mast
rehti thi garv usse hasna sikhaya garv jab bhi usse hasta tha riya itna hasti thi ki
haste haste uske pet me dard ho jata tha aur ek din garv se bolti hai ki
usse apne ap se bhi jyada us par vishvas hai vo garv se kehti hai ki vo usse kabhi bhi nhi
bhula payegi ye baat sun kar garv ko bahut khushi hoti hai aur garv usse aur 
pyar karne lagta hai aur uske pyar me divana ho jata hai
garv sochta hai ki usse riya ko sab kuch bata dena chahiye 
par manus tarik 1 jan 2010 a jati hai aur garv ki zindagi me 
andhera kar jati hai 1 jan ko shama ke ghar koi garv ban kar phone
kar deta hai aur shama ki mummy se kehta hai me shama se
bahut pyar karta hun jisti vajah se shama ke ghar bahut problem ho jati hai aur shama 
garv ko bhala bura bolne lagti hai garv usse bahut vishvas
dilata hai par shama nhi manti iski vajah se garv school 
ana chod deta hai aur school me shama aur shama ke frnds riya ko bhadkate hai
ki garv bahu bura hai vo ladkiyon ke sath bahut bura karta hai
shama usse sab batai hai ki garv ne mere sath bhi bahut bura  kia hai
ye baat sunkar riya ko bahut bura lagta hai usse vishvas
nhi hota par vo phir bhi yakin kar leti hai aur garv se nafrat karne lagti hai
board ke exam karib ajate hai aur garv sochta hai ki ab vo riya se baat kar lega
par riya usse ignore kar deti hai garv ko kuch samaj nhi ata aur last exam 
karib ajata hai date 29 jan 2010 jis din garv sochta hai ki aj riya usse jarur baat karegi 
usse pata hota hai ki riya school ki samne vali gali me se jayegi 
vo vahin kada ho jata hai aur wait karta hai riya vahan ati hai aur uski taraf dekhti bhi nhi hai
garv puri tarah se tut jata hai aur bas uski yadon me kho jata hai 
garv bilkul badal jata hai vo smoking bhi karne lagta hai jabki vo smoking se nafrat karta tha 
par riya ki yadon ko mitane ke liye usse esa karna padhta tha
school pass out ke 1 sal bad garv ko ye pata chalta hai ki
shama aur uske frnds ne uske sath dhokha kiya tha shama ke ghar koi phone
call nhi aya tha aur esa shama ke frnds ne esliye kiya tha kyunki
unhe lagta tha ki garv shama ko dhokha de raha hai jabki garv to sirf aur sirf 
riya ko hi chahta tha is baat se garv aur pareshan ho jata hia aur riya se milne
ki soch ta hai par uski himmat nhi hoti esa karte karte 2.30 saal beth jate hai aur phir ek din
garv ke frnd ko ki uska class mate hi tha keshav uska birtday hota hai us din garv aur keshav
charu ke pass jate hai charu keshav ki gf thi aur birthday clebrate karte hai jab vo party 
karke vahan se laut rahe hotein hai tab priya dekh jati hai aur charu garv se bolti hai ki aaj baat kar hi leti
hun ese sab sachai bata hi deti hun keshav garv ko gadi se utar deta hai aur riya ke pass gadi rok deta hai
riya keshav charu ko dekh kar phele to hairan ho jati hai aur phir un batein hone lagti hai charu aur keshav
riya ko puri sachai bata dete hai jiske baad riya garv ko maf 
kar deti hai ye baat garv ko bahut aachi lagti hai aur garv bahut khush ho jata hai aur keshav aur charu ko 10nks bolta hai
phir ek din riya charu ke pass msg karti hai ki garv ko bolna ki vo smoking chod de 
garv hamesha se riya ki har baat manta tha ye baat sun kar garv smoking chod deta hai par smokin chod dene ke bad
garv ko chest me bahut pain hone lagta hai aur vo doctor ko dikhata hai doctor garv ko bolte hai ki apne ane me bahut der kar di 
apko cancer hai aur apke pass bas 2 mahine hi hai ye baat garv ko bahut shock kar jati hai
aur vo bhaghvan ko kosne lagta hai aur kehta hai ki jab mujhe jindagi jini thi tab tumne mujhse meri
sanse hi chin li phir vo sochta hai ki vo is bare me kisi ko nhi batayega vo jate jate ek story likhta hai jisme vo 
riya ko apni sari sachi aur ye bata ta hai ki vo usse kitna pyar karta hai likhte likhte 1.30 mahina beeth jata hai
aur story puri ho jati hai uski takleef bhi bad jati hai aur vo hospitalized ho jata hai aur uski death ho jati hai uski death hone ke bad 
doctor ki nazar uski ek file par jati hai aur vo usse padta hai aur publish karva deta hai book "garv ki riya"  ke naam se chapti hai aur 
mashoor ho jati hai phir ek din ye book riya ko bhi mil jati hai aur riya usse padh leti hai aur us kitab me likhe akhiri shabdon ko padh ke rone lagti hai
aur apne aap ko kosne lagti hai.........us book ke last words the........
                        hamri dua me to tum 
                        hamesha shamil the
                        par tumne hamare liye
                        badua kyun mangi
                        kardi na us upar vale ne daga mere sath 
                        jab tu mere karib ayi
                        tabhi is upar valle ne mujhe awaj di.........


write by
(Gaurav kashyap)